Dhool ka Phool
"Kya Mere Liye Ab..........
Koi Aasha Nahin?
Mere Prati !
Tum itani krur kyon ho gayi ho?'
"Jab Hum Phool ki
Pankhuriyon ko Nochkar phenk dete hain,
Tab phool ko
Kaisa Lagta hoga...............
Ab samajh me Aaya hai
Unhin Nuchi Pankhuriyon par..............
Baithi hun mai !"
'Kuchh rekhayen Aisi hoti hain
Jinhain......
Samay Nahi meeta sakta.
Bhulna kya hota hai ?
Man samajhane ki baatain..............
Kaayaron ke bahaane !'
Shabd ! Shabdon me judte jate
Aur
Wakya Abadh gati se
Phisalta Rahta...................
Kalam kagaj par chalta rehta
Aur
Itihaas Ziwan main aa jata !
Alag hone ke baad...............
"Mujhey rakh ke dher par
Chalna hoga
Na jane................
Kaun sa angara
Reh jaye dahakta aur
Pawon ko kar de zakhmi !
Dil ka zakhm liye to
Chala hin hun
Mai kya hun.....................Uske bina
Kewal
Ek chhaya....
Ek chalti phirti lash
Ek kati patang
Jiski dor.............
Toot chuki hai kab kahan.
Gir jaye aur kaun
Loot ke le jaye..............
Khud nahin janta !
Ek khoye swar ki Pratidhwani
Aur
Ab aisa hin rahunga
Man ki viraniyon mai Bhatakte huye !
Mai sochta raha........
Phool Toot toot kar Girte rahe
Aur
Dhool ke Bagule Sadak par mandrate rahe !
..............SANTOSH