Main tumhari yaad me, yaad apni kho raha hun !
Saans hai, sansar hai
Pyaar hai, Pukar hai
jeet wahin haar hai
vedna ke palkon me neer-beez bo raha hun...
Main tumhari yaad me, Yaad apni kho raha hun !
kya yahin shringar hai ?
jiska nahin adhar hai
Matra wah udgaar hai
sadhna ki baah me baah de main so raha hun..
Main tumhari yaad me yaad apni kho raha hun !
Jeewan na bhar hai,
Jeena duswar hai
Maut to udhar hai
nakdi ki toh me shradha yahan sanjo raha hun..
Main tumhari yaad me yaad apni kho raha hun!!!!!!
@k. Santosh
Delhi